Welcome at my blog

Saturday, October 30, 2010

My Last Desire

Bad mere marne ke,
Tum laogi Phoolon ka guldasta,
Kash pehle hi de do,
Meri zindagi abhi mahak jaye.
Bad mere marne ke,
Tum apni ankhon me meri chaht bharkar,
Kahogi Tum Bahut achche the,
Agar yeh pehle kah do,
main tumhe palko par bitha loo,
Bad mere marne ke,
Gar tum kahogi "I Luv U",
To shayad main sun bhi na pau,
Lekin pehle kahogi to,
Main tumhe bahon me uthakr
Tumhe apna Naam doonga

Thursday, October 28, 2010

Ek Bebas Ladki

‎"Woh ek masoom bebas si ladki,
Hua tha nikah jiska 14 ki umar me,
Mila tohfa talak ka 15 ki umar me,
Basanti khwab bun'ne se pele hi
Patghad chha gaya charo ore,
...kaise kategi pahad si zindagi,
sayad silai, kadhai se jiyegi,
ham roj dava karte hai,
Naari samman, Naari freedam ka,
Lekin uski Bujhi Nigahen
Majboor karti hai hame,
kuch sochne par majboor
kiski saja bhugat rahi hai woh,
Naari hone ki ya bachchi hone ki,"

Saturday, October 23, 2010

KAMI

Mujhe koi nahi shikayat hai uske sath ki,
fir bhi kisi ki kami mehsoos hoti kyun hai,
yun to guzarta hoon har ek pal khusi ke sath,
fir bhi kuch paloon ki kami mehsoos kyun hai,
socha tha waise hi pyari si hai zindagi meri,
...fir bhi meri nigahen usse talasti kyun hai,
khuda ki rahmat se bhara hai daman mera,
Fir bhi kisi ki kami mehsoos hoti Kyun hai.

Friday, October 22, 2010

"Tumhare in Sapneeli ankhon me,
meri Chahton ke deep Jhilmilate hain.
JAb kabhi Uth jate hai meri taraf,
Uss Din hum Diwali mana Lete hai."

Thursday, October 21, 2010

Mukti

Ek din woh,
bade pyar se,
Mere seene par,
Ungli firate hui Boli,
Tumhara Dil to,
...mere paas hai,
Jeete kaise ho?
sapneeli ankhon se kaha,
tumhare sapne maine chraye hai,
maine gunah kiya hai,
jao tumhe azad karti hun,
main bebas sunta raha
Apni Rehai ke aadesh,
bada dukh hai mujhe
Apni Mukti Ka.

Saturday, October 16, 2010

Rabber

Tumhari Maun nigahon Ki chubhan,
Gadti hai Ek pencil ki tarah,
mere kagaj jaise dil par,
Ek choti si aarju hai ki,
mujhe rabber bana kar dekho,
...Sare dukh dard mita doonga

Friday, October 15, 2010

Ek nai Jung

Aaj Chiddi hai
Dil aur Dimag me
Ek anokhi jung,
Dimag kahta hai,
Main Jeet sakta hoo,
Sari duniya Akele hi,
Dil ne farmaya,
Yeh mana jeet sakte ho,
tum sari duniya,
par kisi ka dil
jeet kar dikhao,
rotti ankhon me,
Hansi ki moti lao,
Dimag ne chuppi sadhi,
Dil bola,
Jab chalenge Hum tum,
Sath milkar,
Khusion ki duniya Bas jayegi
Aur Pyar ka suraj ugega.

Thursday, October 14, 2010

wafa

"Andhere ne kabhi,
Roshni nahi dekhi,
Maut ne kabhi,
zindagi nahi dekhi,
Kagaz ke Phoolon ne,
Khusboo naahi dekhi.
meri Chahton ne,
Kabhi kisi ki wafai nahi dekhi'".

Saturday, October 9, 2010

Shikayatnama

Ateet ke jharoke se,
yadon ki bayar aati hai.
kuch khusnuma sunhare pal,
meri nigahon ke samne tair jate hai,
Jab tum mere hatho me,
apna chehra chhupati thi
wahi chuwan abhi tak mahsoos hoti hai,
mera jate hue kadmo ko,
ektak dekhti rahti thi tum,
Aaj bhi Mud mudkar,
meri nigahen dekha karti hai.
Har koi pata hai yahan,
Apne hisse ka akash
Lekin mere akash ka,
SURAJ fuse kyun ho gaya????????????

Sunday, October 3, 2010

Ek Ghatna

tum mujhe dekh kar,
ghabra jati ho Kyun?
Sayad yeh us chay ke,
cup ko maloom nahi tha,
kapdo ke daag to hat gaye.
Lekin jate jate tumse,
Atoot rishta bana gaye.
apne sambandho ko,
Ek nai disha dene do,
In lafzo ke parde ko,
aaj hat jane do,
Kapkapate hoton ko
pyar ke sabd kah jane do.
Khamosiyon me jeevan,
Gujarta nahi yeh haqeeqat hai
hai prem hi is jeevan ka aadhar,
waqt gujarne per machine ban jata hai

Tuesday, September 28, 2010

Ek Masoom Ladki

woh ek masoom ladki,
chali aati hai mere khayalon me,
neele shaal odhkar,
jaise chand utra ho aasman odhkar,
ungaliyon se late theek karti,
jaise suljha rahi ho meri uljhane,
sindoori chere par muskan,
jaise subah ki pak oos ki boond,
muskara kar dekhti hai,
jaise sari kayntat me basant aa jaye,
fir hath hila kar kahti hai,
"ALLAH HAFFIZ"
tairte rahte hai,
Uske yeh lafz fiza me,
"MERE JEENE KA SAHARA BANKAR"

Saturday, September 25, 2010

Pyar tere roop anek

Kal rat chaurahe par,
mili thi mujhe Zindagi,
mude tude note ki tarah,
tha chehra uska,
roti bilakhti zindagi,
dard se karah kar boli,
mujhe loota hai,
in pyar karne walo ne,
dillagi yeh karte hai,
saja hum pate hai,
ayee khuda! kaha ka yeh insaf hai,
isse behtar to woh log hai,
jo farz ke dayre me,
Kat dete hai poori zindagi.
mujhe pyar se apnakar to dekho,
fir se hasne gungunane lagungi.
Nazre jhuka kar maine kaha
"Zamane me aur bhi dard hai mohabbat ke siva"

Thursday, September 23, 2010

Pyar

       jab rat ke gehre sayee
       mujhe gherte hain,
       mujhe tum bahut yaad aate ho.
       main janta hoo tum,
       anjan hongi in baton se,
       kyunki maine apne jakhm,
       Kabhi dikhaye hi nahi.
       kyunki jab kisi ki saans,
       kisi ki jaan ban jaye.
       Isi ko pyar kehte hai
      

Pyar

      Dharti ki bechaini ko,
           Akash Samjhta hai.
     Nadiyon ki bechaini ko,
           sailab samajhta hai,
     Raat ki bechaini ko,
           suraj samajhta hai.
     Bas meri bechaini ko,
           nahi samjhti "TUM"
      Kya yehi pyar Hai????

Monday, September 20, 2010

Kash

Palko ki kaid se,
nikal bhage hai ansoo.
Kash tumhari yadon ne.
Itna tadpaya na hota,
apni bebsi par muskura diye.
...Kash tumne woh 3 lafz kahe to hote.
Isi kash ke bhanvar me,
fas gayi hai meri mohabbat,
kash mujhe tujhme, khuda dikhayi na deta.

Ek bhagirath chahiye

"Gamo ka himalay ban gaya hai,
ab koi ganga nikalni chahiye.
Fat gaye hai swapn mere,
fir se paiband lagana chahiye.
Kalpano se nikalkar chamm se aa jati ho,
swapno ko haqeeqat ki kothri me kaid karna chahiye,
bah chali hai virah vedna,
use kagaz par lane ko ek bhagirath chahiye.."

Kastoori

"Mausam badalne se,
Logo ke mijaj badlte hai,
hamare riston me,
Khamosi ne basera kar liya hai,
woh sare sabd jo hum dono ke,
labo tak aaye nahi,
yun hi ghut jayenge,
woh sare letter,
lagta hai ab meri dharohar ban jayenge,
main dhoondta rahunga,
tumhare pyar ki kastoori,
ab zindagi bhar."

Sunday, September 19, 2010

NASOOR

Mujhe yaad hain------
apne nakhoon se mere seene par,
dil banaya tha kabhi pyar se,
ek bar dubara aakar dekho,
woh jakhm NASOOR ban gaya hai,
bade pyar se pala hai is jakhm ko.

Saturday, September 18, 2010

KORI ZINDAGI

Sabdo ki kalam se,
apni yaadon ko ukerna chaha,
Bhavnao ka bavandar kuch is tarah utha,
ki sare jazbat ankhon se nikalkar,
kagaz ko bhigone lage,
sare sabd bah gaye,
ho gaya safed kagaz,
Meri Zindagi Ki Tarah
KORA

MERA GHAR

Dhalti hui sham me,
bheeni hawaon ke beeh,
samandar ki ret par,
bade pyar se banaya
ek chota sa ghar,
meri kalpano se saja hua,
tabhi ek tej lahar,
baha le gayi mere ghar,
mere datne par samandar ne jawab diya-TOOFANO ME CHIRAG NAHI JALAYE JATE,
ankhon me asoo liye
sochta raha rat bhar,
Aur mere sapne fisal gaye,
'muthi me band ret ki tarah'.