Welcome at my blog

Tuesday, September 28, 2010

Ek Masoom Ladki

woh ek masoom ladki,
chali aati hai mere khayalon me,
neele shaal odhkar,
jaise chand utra ho aasman odhkar,
ungaliyon se late theek karti,
jaise suljha rahi ho meri uljhane,
sindoori chere par muskan,
jaise subah ki pak oos ki boond,
muskara kar dekhti hai,
jaise sari kayntat me basant aa jaye,
fir hath hila kar kahti hai,
"ALLAH HAFFIZ"
tairte rahte hai,
Uske yeh lafz fiza me,
"MERE JEENE KA SAHARA BANKAR"

Saturday, September 25, 2010

Pyar tere roop anek

Kal rat chaurahe par,
mili thi mujhe Zindagi,
mude tude note ki tarah,
tha chehra uska,
roti bilakhti zindagi,
dard se karah kar boli,
mujhe loota hai,
in pyar karne walo ne,
dillagi yeh karte hai,
saja hum pate hai,
ayee khuda! kaha ka yeh insaf hai,
isse behtar to woh log hai,
jo farz ke dayre me,
Kat dete hai poori zindagi.
mujhe pyar se apnakar to dekho,
fir se hasne gungunane lagungi.
Nazre jhuka kar maine kaha
"Zamane me aur bhi dard hai mohabbat ke siva"

Thursday, September 23, 2010

Pyar

       jab rat ke gehre sayee
       mujhe gherte hain,
       mujhe tum bahut yaad aate ho.
       main janta hoo tum,
       anjan hongi in baton se,
       kyunki maine apne jakhm,
       Kabhi dikhaye hi nahi.
       kyunki jab kisi ki saans,
       kisi ki jaan ban jaye.
       Isi ko pyar kehte hai
      

Pyar

      Dharti ki bechaini ko,
           Akash Samjhta hai.
     Nadiyon ki bechaini ko,
           sailab samajhta hai,
     Raat ki bechaini ko,
           suraj samajhta hai.
     Bas meri bechaini ko,
           nahi samjhti "TUM"
      Kya yehi pyar Hai????

Monday, September 20, 2010

Kash

Palko ki kaid se,
nikal bhage hai ansoo.
Kash tumhari yadon ne.
Itna tadpaya na hota,
apni bebsi par muskura diye.
...Kash tumne woh 3 lafz kahe to hote.
Isi kash ke bhanvar me,
fas gayi hai meri mohabbat,
kash mujhe tujhme, khuda dikhayi na deta.

Ek bhagirath chahiye

"Gamo ka himalay ban gaya hai,
ab koi ganga nikalni chahiye.
Fat gaye hai swapn mere,
fir se paiband lagana chahiye.
Kalpano se nikalkar chamm se aa jati ho,
swapno ko haqeeqat ki kothri me kaid karna chahiye,
bah chali hai virah vedna,
use kagaz par lane ko ek bhagirath chahiye.."

Kastoori

"Mausam badalne se,
Logo ke mijaj badlte hai,
hamare riston me,
Khamosi ne basera kar liya hai,
woh sare sabd jo hum dono ke,
labo tak aaye nahi,
yun hi ghut jayenge,
woh sare letter,
lagta hai ab meri dharohar ban jayenge,
main dhoondta rahunga,
tumhare pyar ki kastoori,
ab zindagi bhar."

Sunday, September 19, 2010

NASOOR

Mujhe yaad hain------
apne nakhoon se mere seene par,
dil banaya tha kabhi pyar se,
ek bar dubara aakar dekho,
woh jakhm NASOOR ban gaya hai,
bade pyar se pala hai is jakhm ko.

Saturday, September 18, 2010

KORI ZINDAGI

Sabdo ki kalam se,
apni yaadon ko ukerna chaha,
Bhavnao ka bavandar kuch is tarah utha,
ki sare jazbat ankhon se nikalkar,
kagaz ko bhigone lage,
sare sabd bah gaye,
ho gaya safed kagaz,
Meri Zindagi Ki Tarah
KORA

MERA GHAR

Dhalti hui sham me,
bheeni hawaon ke beeh,
samandar ki ret par,
bade pyar se banaya
ek chota sa ghar,
meri kalpano se saja hua,
tabhi ek tej lahar,
baha le gayi mere ghar,
mere datne par samandar ne jawab diya-TOOFANO ME CHIRAG NAHI JALAYE JATE,
ankhon me asoo liye
sochta raha rat bhar,
Aur mere sapne fisal gaye,
'muthi me band ret ki tarah'.